Friday, October 14, 2011

MERA AKASH



kho gaya jo usey dhoond k laaoon kaise
laapaton ka pata sabko bataoon kaise
woh toh kehti hai chalo saath safar karte hain
saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaise
meray alfaaz mein woh apni ghazal kaise kahein?
apni aankhon se ussey khwab dikhaoon kaise
woh jo hoti toh har roz jashan sa hota
uske jaane pe ab eid manaoon kaise
tu meri yaad mein har roz chali aati hai
sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaise
kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
khushi k phoolon se main ghar ko sajaoon kaise
jhoot sun-nay ke aadi hain mere sheher k log
kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaise
dil jo roothay toh teri yaad mana leti thi
yaad roothi hai ab isko manaoon kais

ek aur kalam


hai ye meri badnasibi tera kya qasur is mein
tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pehle


mera pyaar jal raha hai ai chand aaj chup ja
kabhi pyaar tha hame bhi teri chandni se pehle


main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle


ye ajib imtehaan hai ki tumhi ko bhulana hai
mile kab the is tarha hum tumhe be-dili se pehle