Friday, November 18, 2011

Vasiyat-E-Alok





Rukna nahi mujhe hai,Tere jahan ki zad me,
Aage nikal chuka hun Aawargi ki Had me/   


Mehboob ek din jab aakar hume sulye,
Bas me ho kisi ke Aakar hume uthaye/


 Dil me chupa ke Rakhaa hai chehra-e-yaar humne,
Bolo is garib ki  vasiyat aur kya hai/

Hamari Awargi ka ye Alam hai Alok,
wafa nasib hui hume jab,ki Maut se Sagai/

Hum bhi bhool jayenge thumhe,ye Vada Raha hamara, 
Yun sar-e-aam hamari Kabra pe Aahen na Bharna/

Mere Hoozor mujh pe itna Raham to Karna, 
Meri Maut ke baad hume Badnaam na Karna/

Kal Aa sakun na gar to, shikwa hum se karna,
Mehfil me aaye koi , hans-hans ke unse Milna/

Koi jo mujko puche,kehna ki Bewafa Tha,
Aawargi ki jid thi,Rukta yahan kahan Tha/

Chalta hai ye deewana,wapas na phir bulana,
Gar ho sake ,kabr pe mere do sher likh ke jana/